angels
Full Moderator


Number of posts: 567
Age: 23
Location: Pakistan
Points: 817
Reputation: 0
Join Date: 2008-09-05
|
Subject: Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi Thu Jul 30, 2009 11:04 pm |
|
|
asslamoalikum
kya infaradi kamyabi aur ijtamai kamyabi ek doosray se alag hain ya laazm o malzoom?
agr laazm o malzoom hain tou mere khayaal me hum ijtamai sataah pe (yani bahasiat qoum) tou nakaam ho chukay hain...iss hawalay se hum nakam ''fard'' hue phir...
tou iss situation me kya aap tasleem krtay hain phir k aap ek nakaam fard hain???(kiyon k afraad se mil kr muaashra banta hai )
aur agar laazm o malzoom nahi .... tou kesay nahi ??? alag kesay hain zra wazahat farmayen.......!
_________________
|
|
SajjadKhan
Administrator


Number of posts: 1062
Age: 25
Location: FaR AwAy In ThE SeA
Points: 1607
Reputation: 1
Join Date: 2008-08-12
|
Subject: Re: Infaradi Aur Ijtamai Kamyabi Mon Aug 03, 2009 5:37 pm |
|
|
wa lekum salam...
mere khayal sey dono baaten apni apni jagah ehmiat rakhti hain...
or muje aap ki baat sey thora sa ikhtilaf b hai k ham ba'hasiat qoum nakam ho chukey hain...haqeeqtan aisa nahi hia... aisa ham ney soch liya hia...ya aisa hamarey zehnon me daal diya gaya hia...
agar kissi qoum ka ek fard apney or apni qoum k liye kamyabian ikhathi karta hai (jaisa k Dr. Abdul Qadeer, Imran Khan, Jahangeer Khan and many others), to wo infaradi tor per b kamyab hia or qoum ki kamyabi me ek ehm kirdar b hia...
doosri taraf agar kuch log apni qoum ko badnam, ya nakam kartey hain (jaisa k hamarey siasatdaan or hukamran hain) to agar'cheh hamari qoum per un k amaal ka bojh parta hia... lekin ye soch kar hamey un kamyabion ko faramosh ya nazar andaz nahi karna chaye jo hamarey hi ham watnon ney kathi ki hain...
me ba'hasiat fard qoum k liye wo sab karney ki lagan rakhta ho jiss sey us ko achi nigah sey dekha jaye...or me ba'hasiat qoum un tumam nakamion ko radd karta hon jo kuch gandi machlion ki wajah sey hamey jheelni parin ya parh rahi hain...
_________________
!!`tRy...To..bE..smaRT..BuT..doNt...Try..to..Be...Ov3r smArt..`!!
|
|